Rama Chalisa In English


lord_Rama_Chalisa


Rama Chalisa In English


Ram Chalisa refers to the forty "chaupais" dedicated to Lord Ram. Word “chalisa” is from Hindi word "chalis" which means forty bearing on forty hymns for Lord Ram. Ram Chalisa is recited in Hindu households wherever Lord Ram is adored on an everyday basis. Ram Chalisa is recited at the top of the puja. Before, there's recitation of Ram Charit Manasa. thenceforth there's Ram Chalisa. once one recites the Ram Chalisa, one would be let out from one’s sins. Also, one would attain "Moksha". One would attain a way of peace and unity with the globe around one. Also, individuals believe reciting the Ram Chalisa helps one get divine blessings from Lord Ram himself.



Shri Raghubir bhagat hitkari, suni lije prabhu araj hamari,
Nisidin dhyan dhare jo koi, ta sam bhakt aur nahi hoi.

Dhyan dhare shivji man mahi, brahma indra par nahi pahi,
Jai jai jai raghunath kripala, sada karo santan pratipala.

Doot tumhar veer hanumana, jasu prabhav tihu pur jana,
Tuv bhujdand prachand kripala, ravan mari suarn pratipala.

Tum anath ke nath gosai, deenan ke ho sada sahai,
Bramhadik tav par na paven, sada eesh tumharo yash gave.
Chariu ved bharat hai sakhi, tum bhaktan ki lajja rakhi,
Gun gavat sharad man mahi, surpati tako par na pahi.

Nam tumhare let jo koi, ta sam dhanya aur nahi hoi,
Ram naam hai aparampara, charin ved jahi pukara.

Ganpati naam tumharo linho, tinko pratham pujya tum kinho,
Shesh ratat nit naam tumhara, mahi ko bhar shish par dhara.

Phool saman rahat so bhara, pavat kou na tumharo para,
Bharat naam tumharo ur dharo, taso kabahu na ran mein haro.

Naam shatrugna hridaya prakasha, sumirat hot shatru kar nasha,
Lakhan tumhare agyakari, sada karat santan rakhwari.

Tate ran jeete nahi koi, yuddh jure yamahu kin hoi,
Mahalakshmi dhar avtara, sab vidhi karat paap ko chhara.

Seeta ram puneeta gayo, bhuvaneshwari prabhav dikhayo,
Ghat sp prakat bhai so aai, jako dehkat chand lajai.

So tumhare nit paon palotat, navo nidhi charanan mein lotat,
Siddhi atharah mangalkari, so tum par jave balihari.

Aurahu jo anek prabhutai, so seetapati tumahi banai,
Ichchha te kotin sansara, rachat na lagat pal ki bhara.

Jo tumhare charanan chit lave, taki mukti avasi ho jave,
Sunahu ram tum tat hamare, tumahi bharat kul poojya prachare.

Tumahi dev kul dev hamare, tum gurudev pran ke pyare,
Jo kuch ho so tumhahi raja, jai jai jai prabhu rakho laja.

Ram atma poshan hare, jai jai jai dasrath ke pyare,
Jai jai jai prabhu jyoti swarupa, nirgun brahma akhand anoopa.

Satya satya jai satyavrat swami, satya sanatan antaryami,
Satya bhajan tumharo jo gave, So nischay charon phal pave.

Satya sapath gauripati kinhi, tumne bhaktahi sab siddhi dinhi,
Gyan hridaya do gyanswarupa, namo namo jai jagpati bhoopa.

Dhanya dhanya tum dhanya pratapa, naam tumhar harat sntapa,
Satya shudh deva mukh gaya, baji dundubhi shankh bajaya.

Satya satya tum satya sanatan, tumahi ho hamare tan man dhan,
Yako path kare jo koi, gyan prakat take ur hoi.

Avagaman mitai tihi kera, satya vachan mane shiv mera,
Aur aas man mein jo hoi, manvanchit phal pave soi.

Teenahu kal dhyan jo lave, tulsidas anu phool chadhave,
Saag patra so bhog lagave, so nar sakal siddhata pave.

Aant samay raghubarpur jai, jaha janma haribhakta kai,
Shri haridas kahai aru gave, so vaikunth dham ko pave.

Doha
Saat divas jo nem kar, path kare chit laye,
Haridas harikripa se, avasi bhakti ko pave.


Ram chalisa jo padhe, ram sharan chit laye,
Jo ichchha man mein kare, sakal siddh ho jaye.


Read Rama Chalisa in hindi